Image by Pexels from Pixabay 

Kalam ki taqat ko nazarandaaz na kar ae, musafir…..
Jab aap beeti sunane ko koi na tha, tab tabedaari se yahi thi tere liye haazir…
Jo logon ki farmaishon ko tu poora na kar ska,
Iss hamsafar ne who lafzon ki zubani kaha….
Instagram, Facebook, ticktock bhi zariya hain dil ki awaz pahaunchane ke,
Magar kya karein janaab, wo toh hain aaj kal sirf followers badhane k liye…
kalam ki taqat ko nazarandaaz na kar ae, musafir…..
Jab aap beeti sunane ko koi na tha, tab tabedaari se yahi thi tere liye haazir…
Jo khud ke haath majbooriyon ki zanzeeron mein baandh lete hain, yeh unki bhi hai sagi,
Gaur farmaiye, locked diary mein hi sahi, aapki kahani isne hi kahi….
Qualification, tajurba, position, iska istemaal Kai tarah se sikhaate hain….
Par aapke likhe lafz, jo dil tak pahaunchein, wahi yaad reh jaate hain….
kalam ki taqat ko nazarandaaz na kar ae, musafir…..
Jab aap beeti sunane ko koi na tha, tab tabedaari se yahi thi tere liye haazir…
Yeh main nhi, shayar keh gye Kai purane, aaj likhunga, sochunga, yeh sab hain dil k bahane….
Roz ek nayi Jung haazir hai, iss duniya ki "competitive survival" ki ladai mein…
Par kya maza huzoor, Jo yeh haath na likh sakein kisi ko khat, kabhi jaudai mein, kabhi badhai
mein….
Insaaf karegi yeh tera bhi, itna itmenaan rakh mere dost,
Travels, achievements krta reh upload, par kabhi kabhi dil kahi bhi krde post….
kalam ki taqat ko nazarandaaz na kar ae, musafir…..
Jab aap beeti sunane ko koi na tha, tab tabedaari se yahi thi tere liye haazir…
Padhna nhi chahenge tujhe hazaroon, chalo Maan liya…
Par kuch toh honge, jinhone sabr se Tera haal Jaan liya….
Motivate kar ya gaaliyan de, yeh bhi takat tujhe iss kalam ne bekhauf bakshi hai…
Par tu kya keemat bnaega iss kalam ki, yeh bhi khuda ne tujh par rehmat bakshi hai….
kalam ki taqat ko nazarandaaz na kar ae, musafir…..
Jab aap beeti sunane ko koi na tha, tab tabedaari se yahi thi tere liye haazir…
Kalam chahe digital keypad ki hi kyon na ho, comments likhne k shaukeenon ko, wo yeh haq
bhi deti hai….
Yaad na rakh chahe aaj meri kahi , par tere lafzon ko aur tujhe aukat, bhi yeh kalam hi deti
hai…
Kalam ki taakat ko nazarandaaz na kar ae musafir…
Yahi tujhe rasta bhi dikhaegi, manzil tak bhi le jaega, yahi samajh le, aaj keh raha hai koi
kaafir….

.    .    .

Discus