Photo by Vadim Bogulov on Unsplash

Aapki pehchaan kaise hoti h?
Ek choti bachchi ne mujhse apne naadaan andaaz mein poocha
Kya main usey bata dun ki
Duniya aapko aapke karm se pechaanti h?
Kya main uska dil tod dun
Aur use bol dun ki uski jebon mein jitni daulat samaa paegi
Usi k palre se uski izzat ko tola jaega
Kya un choti umeedon walin akhiyan ko
Main ye sach bata dun
Ki aapka samay hi aapki asli pechan karata h
Baaki toh yeh farzi duniya h
Jisey jaisa mehsoos hota h
Wo sach mein kabhi keh nahi paata
Waqt beet jaata h aur log kharch ho jaate h
Aainey mein jab apne aap ko dekho
Aur pehchaan kar sako ki aap kaun ho
Aur aapko raat ko chaen ki neend aa jaye
Vastavikta mein wo hi aapki pehchaan h
Aur baaki saari baatein dhuye k jaise udd jaati h
Ek choti bachchi ne mujhse apne naadaan andaaz mein poocha
Aapki pehchaan kaise hoti h?

.    .    .

Discus