Image by Gerd Altmann from Pixabay

ladki ko jeene nahi dete ho,
aadmi hoth seena sikha dete,
shaam me mehfil laga kar ye baatein karte ho;
sadko par naare or gharo me chule bujha dete ho.
nanni si jaan ka kya haal bana dete ho,
itna sab karne ke baat bhi;
seena choda kar ke ghoomte ho.
jhooti insaaniyat ke kisse sunate ho,
har raat me khaab bechte ho.
sharam ko or sharamsaar karte ho,
har jhooti baat par bada naaz karte ho.
kagaz jal gaya,
aasu se kapde bheeg gaye,
kitne bachche maa ke aansu ki tsunami me beh gaye.
ghar tabah hue,
kitne kitno se juda hue,
ladte jhagadte alwida hue.
haste hue gussa kiya,
besharmo ne zamane ko bada badnaam kiya.
har kisi ko ladka chahiye,
har ghar me nara kiya.
izzat ke chaurahe par use har din neelam kiya,
tum sab ne ek beti kya haal kiya.
khauf ata nahi apni ma se,
jaan le kar,
gana gun gunate ho,
har raat me apni mehbooba ko ye geet sunate ho;
apni biwi ko chhod kar.
zamane ko jeena sikhate ho,
bade lafz istemaal karte ho;
ki tumahara kurta safed rahe,
tumhari saansein chalti rahe,
beparda ho tum.
beparda tumhare khayalaat hai,
kya tum kisi ke baare me acha sochoge.
kameez itni achi tarah se saaf karte ho,
sab ko andha samajhte ho.
kambakht ho tum.
saaf paani ke kaale keede ho tum.
apne gande zehen se duniya ko kuch mat sikhao,
aurat ko insaaf 
se jeena sikhao.

.    .    .

Discus