Image by aatlas from Pixabay
Dar mujhe bhi laga tha faasla dekh kar dar mujhe bhi laga tha mushkile dekh kar mager main badhti gayi raasta dekh kar khud be khud nazdeek aati gayi meri manzil mera hosla dekh kar
Na harungi hosla chahe kuch bhi ho jaye yeah mene kisi or se nahi khud se wada kiya hai
Rakh hosla woh manzar bhi ayega piyaase ke pass samundar bhi chalke aayega yu zameen pe beth ker aasmaan kyu dekh raha hai apne pankho ko khol yeah zamana Sirf udaan dekhta hai
Na puch ki meri manzil kaha hai abhi toh Safar ka iraada kiya hai Mushkil jarur hai mager thairi nahi hu manzil se zara khedo ki abhi pohchi nahi hu
Mehnat itni khamoshi se karo ki kamiyabi shor macha de
Jeet ke khatir dil me junoon hona chahiye jisme me ubaal ho aaisa khoon hona chahiye yeah aasmaan bhi aayega ek din zameen pe bass iraado me dam hona chahiye
Mene yeah thaan liya hai muskil bhut aayengi raasta bhatkane keliye lekin hosla ek hi kaafi hai manzil ko paane liye
Lakh koshishon ke baad bhi ho jaati hai kabhi haar hoke niraash mat beth mere yaar
Maidaan me haara hua insaan bhi jeet sakhta lekin dil se hara hua insaan kabhi nahi jeet sakhta
Badal jao waqt ke saath ya waqt badalna seekho majburiyon ko mat Koso her haal me chalna seekho
Kamyabi ek din me nahi milti lekin ager thaanlo toh ek din jarur milti hai haar or jeet teri soch pe depend kerti hai dar or khauf sab tere ander hai khud ke banaye pinjre se nikal tu bhi ek sikander hai Izzat or tareef maangi nahi jaati kamayi jati
Ek din mere bhi naam ka shor aayega logo ka toh waqt aata hai mera toh daur aayega
Gairo pe kyu bharosa kare jab chalna hi khud ke pairon pe hai kyu banu kisi aur ki tarah jab koi nahi hai iss zamane me meri tarah.
Thukra diya tha jin logo ne mera waqt dekh ke wada kerti hu aisa waqt laungi ki milna padega unlogo ko mera waqt leke Zindagi me pachtawa kerna chord do kuch aaisa karo ki tumhe chordne wale pachta jaye
Mehnat itni khamoshi se karo ki kismat bhi bol uthe ki yeah teri kismat nahi tera haq hai
Logo ne lakh koshishe kari bujhane ki mager aandhi or tufaano me bhi jalte rahe chiraaga andhi or tufaano me bhi jalte rahe chiraag