Photo by Chau Luong on Unsplash

Galt sangat mai pade hai uski bhi majboori thi
Pyar ghr walo ka milna hume bhi jrrurt thi
Izzat hume bhi pyari hai apni
Bharosa kar mujhpe mai ghunegar nahi
Mana rehta hu lakho sath par mera koi yar nhi
Tu fikar na kre meri isliye
Islie ghar se dur rehta hu
Ma -mai matlabi ni par dunia ke bhoj talle dab chuka hu
Humare bhi ashq beshumar bahe hai
Haske dunia ke samne humne bhi kai asraar rakhe hai
Hume humari shohrat ke lie pasnd kia jata hai
Badi asani se humpe tohmat lgai jati hai
HUM BHI TOH EK INSAN HAI
Kyu bachpan se hume ghut ke jina sikhaya jata hai!
Hum bhi us khuda ke khalaq hai
Bete hai ek ma ke
Bap hai kisi beti ke
Kisi ki mang ka sindoor hu
Dor hu uski rakhi ka
Ae jindagi sun ek talakh
Kha jata hai hume chunne ko
Majboor ho jate hai hum or se
Matlbi kehlae jate hai...mehfil mai mache shor mai,attish mai apne sapno ko jallla dete hai
Hum bhi ek ma ke bete hai!!
Har rat hume kissa sunaya jata
Ladke rote nahi bachpn se bata dia jata hai
Shoti si umar mai ghr ke bhoj talle dab jate hai
Hum roke rat bhar subha fir muskurane wale hai
Ghar pe rahi toh nikkama
Bahr jau toh awara kha jata hu
Hote honge kush haivan ,par hum sab ek jaise nahi
Shod do humpe uh tohmat lagana
Hum itne bhi bure nahi

.    .    .

Discus