Mere paida hone par sabne khushi manai thi beta hua hai bolkar saare maholle me mithai baati thi meri bheno ko mujhse Kai shikayatein thi.. jab tak muje chalna nhi aya tha sabne meri ungli thami thi...
Maa mujeh ankho ka Tara or papa ghar ka raja bulaya karte the.. dadi muje apni Shaan bulaya karte the.. sab muje palko bar bithaya karte the...
Par aaj Jab akal agai or do pairo par chalne lag gya toh Kyu sab badal Gaya..? Ghar ka raja Kyu zimmedariyon ki bediyon me bandh Gaya..? ankho ke taare ki aankho me aansu Kyu koi nhi dek paya? Rona bhi chahu to tu ladka hai khekar muje kyu chup karwa diya Gaya..? Umeedo par khraa na utar Pau toh Kyu ghar ki Shaan ko nakaam bualaya Gaya?
Betiyon ke baareme to sab bolte hai.. bete ko kyu galat dikhate hai? Jab koi roye to hum chup karate hai or hum to tanha ro kar aansu pochne wala dhundte reh jate hai..
Mard ko kabhi dard nhi hota hai kehkar saare dard hum seh jaate hai.. kabhi koi Mard ko samjhe to jaane ki Mard ko dard bhi hota hai or Mard bhi rota hai..
Agar ek aurat Maa beti bahu or bhen hai to ek mard bhi baap beta bhai or Jamai hai fark bas itna hai ki mard ki zimmedariyon ke baareme koi baat he nhi karta hai...
Mard to wo phool hai jiski khushboo sbko pasand hai par uske kaatein koi nhi chuna chahta hai.