Photo by Revathi Seraman from Pexels

Kabhi kabhi jab mei udas hoti hu to sochti hu ki aakhir hmara vajud kya hai . Parents ke ghar hote hai to vo bolte hai yeh tera ghar nhi tune paraye ghar jana hai . Aesa mat kar vesa mat kar . Or jab shadi ke bad sasural jate hai to Kuch galati ho Jane pe vaha bolte hai ja apne ghar vapus ja . Yahi sikhaya tere maa baap ne.

Aakhir hamara apna ghar kon sa hai jise hum apna keh sakke?

Kyu koi hamari feelings ko nhi samajhta? Kya hamme dard nhi hota? , kya hamara dil nhi dhukhta?. Kitna bhi modern jamana aa jaye par mard hamesha se aurat ko apni gulam or per ki jutti he samajhta aaya hai . Yaha nhi jana , vesa nhi karna , bata kar kyu nhi gayi , etc etc .

Khana acha bann jaye to koi tareef nhi par jab theek na bane tho gussa. Khud pura din phone chalayenge but hamne phone chalate dekh ke gussa. Kyu kyu hota hai aisa?

Kya hame kabhi aazadi nhi milegi? ki hamm bhi Khud apni marzi or apne mann ka kr sakke . Kitna kitna sehna Abhi or baki hai .

Kash Kash,

Agle Janam vich rabba menu, tu bana ke bheje ,

Tenu me bana ke bheje,

Tahi tenu pta lagna kive pitta janda pani khara khara… 

.    .    .

Discus