Source: Pixabay

Ladka hu me!!
Dard hota hai mujhe,
To kya hua me batata nhi.
Har ladka ek jesa ho jaruri nhi,
Dard ko me sabko batau yeh mujhe gawara nhi.

Jese hoti he betiyan baba ke dil ke pass,
Wese hi hote h bete maa ki aas.
Bachpan me krta tha shararat to sab chilate the,
Mere maa baap humesa sahi raha dikhate the,
Mere bhi sapne the,
Jo mene bachpan se dekhe the.
Mujhe bhi daat padti thi,
Future banane ke liye,
Padhne likhne ke liye,
Kuch bada krne ke liye,
Mere bhi spne tute hai,
Mujhe bhi dard hota hai,
To kya hua me batata nhi.

12 pass karte hi mujhe ghar se
Bhej diya jata hai,
Jaake padhai kr kuch banke aana bol diya jata hai,
Mujhe bhi tension hota hai,
Dard hota hai,
Jab me apne se dur hota hu,
Me raat raat bhar nhi sota,
Kuch sapno ke liye bhagta hu,
Kuch apno ke liye jaagta hu,
Apno ko khone se darta hu,
Apne parivaar ki fikar krta hu,
Bachpan se fikar mujhe hoti hai

Kabhi batata nhi to iska matlab yeh nhi ki dard nhi hota,
Maa ko unki umide puri krke deni h mujhe,
Papa ko unke sach sapne krke dikhane h mujhe,
Meri behen sabke saamne bol ske yeh mere bhai mera garv hai,
Bolte hue sabko yeh dekhna hai mujhe,

Chahta hu karna puri sabki aas,
Kyu ki inke baad aati h meri jimedari meri jeevan sathi ,
Jo aati h apna ghr chodkar mere sath.
Sabke sapne pure krne h mujhe,
Mere apno ko khush dekhna hai mujhe.
Mere dard or taklif kabhi aansu me nhi aati,
Meri chinta kabhi meri mithi baat se nhi aati ,

Chilata hu daat deta hu,
Kyun ki koi taklif mere apno ko nhi dena chahta hu,
Ladka hu me dard hota h mujhe bhi,
Har koi ek jesa nhi hota yeh samjo aap sab bhi.
Thoda ghussa krta hu apno par,
Thoda chila deta hu apno par,
Chahta hu krna sabki achai,
Mere maa-baap ne yahi sikh sikhai
Ladka hu me khilona nahi,
Dard hota h mujhe bhi
Par dard batau yeh jruri nhi...

.    .     .

Discus