Photo by Eric Ward on Unsplash

Haa mai sarvgoon sampaan nahi
Haa mujme kai khamiyan hai jo mujhe kuch bikhra bikhra sa banati hai,
Haa kuch aisi baate hai jo mere dil ko kagaj ke tukde sa banati hai.
Kai bar apni baate man me dabaye rakhti hu,
Apne koshishon ke dam par apna ashiyana tikaye rakhti hu

Apne aatit ke kisson ko maine banjar sa hote dekha hai,
Apne bichde hue apnon ke parayeinpan me unki baato ko khanjar sa hota dekha hai,
Par ab mai us jagah aa gai hu jaha mera beeta hua kal meri pechan nahi hai,
Kyuki jo ladki apne khamiyo se darti thi, ab mujhme vo insaan nahi hai

&
Haa mai sarv goon sampan hai
Meri khamiyan mujhe ek kaach ki sandal pehenevali Cinderella ki peechan se alag banati hai,
Mai ek yodha hu jiski udaan ki misale maaye apni betiyon ko sunati hai.

.    .    .

Discus