Source: WikiImages from Pixabay 

Bohot sune the maine,
Adhikaar or kanoon!
Bohot sune the maine,
Haq, Rights, Justice and acts!
Toh aaiye aaj mai aapko unn adhikaaron ke baare me batati hu,
Jo mere birth se hi muje mile hai,
Jee haa mai baat kr rhi hu Child Rights ki!
Kehte hai every child has the Right to Survive,
Iska mtlb ye hai ke har bacche ka haq hota hai wo jiye,
Lekin afsos ki baat toh ye hai gender inequality ne najaane kitni betiyaan maar diye!
Kehte hai every child has the Right to Education,
Lekin child labour ka toh badh hi rha hai population!
Kehte toh ye bhi hai ke every child has the Right to Participation,
Lekin koi nhi sunta unka opinion,
Aur valid toh bilkul nhi hote unke emotion!
Kehte toh ye bhi hai ke every child has the Right to be Protected from all sorts of violence,
But unki safety hoti hai non-sense!
Aaj meri aap sbse ek hi request hai,
Dil me bohot Ummeed bhi hai,
Ke aap sb ye qubool kroge!
Let the child express their emotion,
Let the child share their thoughts,
Let the child learn with play,
Let the child to be protected and developed,
And let the child live with dignity!
Kya hi khoobsorat hoga wo environment,
Jaha ye sb child rights ka hoga enlightenment!
Jaha ye sb rights bacche krege explore,
Tab Inclusion nhi hoga duur.

.     .     .

Discus