Hindu/muslim ya yun kahein Bhartiya navothan ka ek pradhan lakhshan attit ki gahraiyon ka anusandhan tha. Ethihaas gawah hai ki Europe ke paas joo puunji thi, usmein vigyaan hi ek aisa tatva tha, jo bharat ko naveen laga aur jeese bharaat ne khushi-khushi sweekar kar liyaa. Baki pratyek desha mein, bharat ne apne aapne ateet ki punjee tatooli aur apne pracheen gyan ko naveen karke vah naye marg per agraser hone laga. Angrezy bhasha mein "rivivalism" hai, jo dusheet aarth deta hai. Jo bhi vyakti aaj ke satya ko aanadrit karke bhutkal ki maree hui baton ko duhrata hai, usse hum punahjagranvadi ya "rivivalist" kahte hein, aur punarjagranvadi hona koi aachha kaam nahin hai. Kintu, Navothan mein bhi aateet ki batein duhrayee jatee hein. Jab Navothan ka samay aataa hai, jateeyon ke kuchh puratan satya dubaaara janm lete hein. Yeh Punarjagaran nahin, satyon ka Punarjanm hai. Bahut se satya eisse hein hein, jo mittna nahin jante, jo kucch deenon ke liye prachhan to ho jate hein, kentu, samay pakar jinhein manushya phir se prapt kar leta hai. Bharat mein eisee satya vedaant ke satya rahe hein.
Jab-Jab bharat mein Navothan hua hai, tab-tab Vedaant ki bhumika manushya ke samne prakasheet ho uthi hai. Vedaant ne Bhudh ka saath deeya, Vedaant ne Shankar ko chamkaya, Vedant ke aadhaar per Kabir aur Nanak satya Sidhh hue aur ussi Vedaant ki nayee vyakhya karke Ramanuj ne bhakti ka marg prashast keeya.
Jab issaiyat aur vigyaan Bharaat pahuunche aur bharat ko unka swagat satkar ki vyavastha karni paddi, tab bharat ne ek baar phir vedaant ka sahara liya. Jiss Navothan ka aarambh Raja ram mohan Rai, Dayanand aur Vivekanand sareekhe logon ne keeya tha, aur jiskee vichaardhara mein hum aaj bhi tairte hue aage ja rahe hein, Vedaant uss aandolan ki reedh hai.
Navothan ka dussara pradhaan lakshaan 'Neevriti" ka tyaag tha. Jab hindu aur Islam europe se takraye to unhein sochne ko majboor hona pada ki Neevriti jeevan ki saachi rah nahin hai.
Lekin "pravirti" ko bharatvasiyon ne naya darshan samajh kar aapnaya. Nahin, daraasal shri Vivekanandji aur Lokmanya Tilak ne Vedant aur geeta kee hee "Nayee vyakhya" karke yeh prateepadeet kiya hai kii Bharatiye Vedic Dharam ka muul updhesh 'Neevriti" nahin, Praveeriti" hai. Yeh hindutva ki baat hai, Islam ka vishleshan hum aalag se karenge.
Jeevan satya hai, Sansar sapna ya mithya nahin hai, vyaragya jeevan kee prajaye ko nahin kahtein hein tatha karmakarm ka veechaar issa naheen hoona chaheeye ki manuushya ke ehlookik sukhoon ka hi nash ho jaye, ye aur eise updhesh iss kaal ke cheentakon ke mukh se baar baar sunayee dete hein.
Aasal mein 19vin saddi ka "Utthaan" "pravirtivaad" ka hi aanupam utthaan tha.
Ab deekhna yeh hei ki "21vin" sadi ka "Utthaan" "kis-vaad" ko janm detta hai????
To be contd....!!!