Image by S. Hermann & F. Richter from Pixabay 

Asmaan me panchiyon ko agar udne ka haq hai,
Toh mujhe ku nahi?
Agar sabko sapne dekhne ka haq hai,Toh mujhe ku nahi?
Log ku mujhse kehte hai ki tumhe bade sapne,Dekhne ka haq nahi hai,
Tum ladki ho samjho tumhe uncha udne ka haq nahi hai!!
Jab ldke ko bahar akele nikalne ka haq hai,Toh ladki ko kyun nahi?
Jab mere bhaii ko padhne ka haq hai,To mujhe ku nhi hai?
Ku baba mujhse chillakr baat karte hai,Aur bhaii se itne pyarse.
Ku log khte hai mujhse ki char diwari me hi rho,Tum ladki ko zara chip ke rho?
Sabko apne man ke kpde phnne ka haq hai jab,Toh mujhko ku nhi hai?
Apne man ki krne kaa haq jab sbko mila hai,Toh mujhe kyun nahi?

Meri har chij me sabko dikkat hoti hai,Bhaii ki usi chij me sabko khushi milti hai.
Kabhi pyarse maa tumne mere liye ek roti jyada nhi rkhi,
Bhaii ko hmesa ek jyada hi khilai.
Sabko sabse baat krneka haq hai,To mujhe kyun nahi?
Sabko toh apne apne sawalon ke jawab janne ka haq hai,Lekin ye haq mujhe kyu nahi,
Mai kabhi kardu sawal to chup kara diya jata hai,
''Tum ladki ho jyada mat bola kro'' yehi jawab diya jata hai.
Na jane kitne sawal chupaye hai khudme,
Kr nahi sakti ku ki ladki hu mai!! Jab ajaye mere period dates,
Raviyya hojata hai sabkaa tez.
Rasoi me jana,mandir ne jana, kahi bhi jana
Sab par lag jati hai pabandi.Ku isme sab smjhne lagte h ladki ko gandi!!
Agar mai ladki hoon to isme mera kya doshh
Sach kehti hoon mai hoon bilkull nirdosh.
Itni saari pabandiyon mujhe jakde hue hai,
Ek ladki hoon isliye bahut taale lge hue hai.
Haan hoon mai ladki aur ek din udungi bhi,
Jisne jisne mere parr katne chahe sabko dikhaungi bhi,
Ab nahi darti mai duniyawalo se,
Bass thodasa sath chahiye apnewalo se.
Khud par garv hai mujhe,
Ek ladki hone par fakrr hai mujhe!!

.    .    .

Discus