Photo by Valentin Antonucci: pexels

Aadat meri tu ban gayi aur mujhe pata bhi na chala,
Baato hi baato mein tu chahat ban gayi aur mujhe pata hi na chala,
Chahat kahu ya kahu isse mohabbat pata nahi chalta,
Darr lagta hai bas aab tujhe khone se,

Es jeevan ko tere biger jeene se,
Filhal tu mere ko ye bata ki kya mai?
Gaana gaake aab tujhe patau ya tera
Haath pakad ke ek ghutne pe beth jau?
In dino ek hi khayal ghumta hai mere dimag mai
Jo ki hota hai tera aur mera ek saath mai

Kal kya agle janam tak bhi tera intezaar kar lunga,
Lete lete bas tere hi khayal dimag mai ghuma lunga,
Man na man, tu meri chahat nahi meri zarurat hai
Nafrat karlena agar yehi teri icha hai toh, bas chodke na jana agar mera koi jurm bhi hai toh.

Oh Oh jane jaana dhunde tujhe diwana,
Par tum toh humse nazre bachana chah rahi ho
Q tum itna darti ho mohabbat se?
Raat raat bhar mujhe vartalab karne se?
Saath mai jeena ka vada karta hu mai tujhse,
Tab bhi kyu darti hai tu merese?

Usse din se aaj tak hogya hai kuch zyada hi samay
Vistar se tumse baat karne ka mauka toh phir bhi nahi mila,
Worry karna tumne sikha diya jab hum tumko pyaar karna na sikha paaye
X-rays ki tarah see through raha mai tere saath
Yeh bhi kaafi na raha tujhe mujh par bharosa karne ke liye,
Zyada kuch na kabhi manga hai terese aur na hi kabhi manguna, aaj bas ek aakhri mauka ki
maang karna chahta hu.

.   .   .

Discus