Image by StockSnap from Pixabay 

Chale aana milne humse jab dil na lage wahan tumhara, jab keh na sako unse baatien woh jo kehna chahe dil tumhara, phir raaton ke jaage hum mil lengey subah ko dobara, jab pade zaroorat meri tum mudd kar peeche chale aana,

Suna wahan ke aasman me rang aise jo na dekhe kisine, aur muskurahat tumhare chehre par wahan rehti hai thodi zayda, par mann kare agar rone ka aur na chaho tum kisi ko aansu dikhana, mauhaulat leke kuch samay ki laut kar peeche tum chale aana,

Na hai aashiyane yahan ab andhere me qaid rehte hai yeh sawere, aur bin tere khamoshi bhi yaha rehti hai thodi zayda, gar waade karogi aane ke phir na sununga me koi bahana, mann kare gar gungunane ka bin soche kuch tum chale aana,

Koshish kari maine poori par shayad khafa thi humari taqdeere, kaash tumne rakhi hoti mere shabdon ki aehemiyat thodi zayda, khair kya hoga ab sochne se yahan gumaan ka aagya hai jo daayra, fursat mile waha ke shor se kabhi khamoshi ke kuch pal bitane yaha mere sath, tum chale aana, chale aana?

.    .    .

Discus