Image by Dariusz Sankowski from Pixabay 

Musafir ka yaar tajurba
Musafir ka kaam tajurba
Musafir ka asbaab tajurba
Musafir ki har sham tajurba
Musafir mein hunar hai khud ko chalaane ka
Musafir mein himmat hai toote hue dil se dil lagaane ka
Musafir ne seekha zindagi se jhujhna
Shayad isliye Musafir ka hai paigham tajurba
Musafir ko mohabbat ki aish-o-ishrat ka araam kahan
Musafir ki hayaat mei mehboob k naam kahan
Musafir ki kismat mei be ashq shaam kahan
Musafir ki zindagi mei sukoon k pal aam kahan
Musafir ne seekha hai khud ka saaqi hona
Shayad isliye Musafir ka dusra naam tajurba
Musafir ka ghar bana na koi makaan
Musafir ka shareek wo rasta, wo yaadein aur ik asmaan
Musafir k jism mein nahi, dil mei basi thakaan
Musafir ki na zindagi hui aur apna bana shamshaan
Musafir ko na haalaat-e-sukoon
Shayad isliye Musafir ka ikhtitaam tajurba
Musafir ki na koi de misaal
Musafir ko hain kai malaal
Kaash yeh na karke wo karte toh kamaal karte
Jaane kitna bechain musafir ko sawaal karte
Hasraton mein dooba hai musafir ka wajood
Kaisa yaar kaisa hareef musafir ka dil tootna bhi khafif
Musafir k zindagi k sabaq
Uski zindagi ki baedi bhi hain
Musafir ki mohabbat se tamaam umeedein
Uske dil-e-bechain ka sabab bhi hain
Musafir ko na thehraav na ghar basaane ki sahooliyat
Musafir ki zindagi mein bhi musafir hi hain
Khushgawar zindagi ki duniyaadaari se door, khayalon ki baediyon k naam tajurba
Shayad isliye Musafir ka hai badnaam tajurba...

.     .     .

Discus