Image by Jon Hoefer from Pixabay
Duniya bhar ki mazboori khadi thi,
Taak lagaye aangan mein
Rone ki jagah nhi ,
Apne hi aangan mein,
Din bhar door tak ki soch,
Patakti thi aangan mein roj ,
Roj hi deri aane mein
Aangan ke saraane mein,
Mitti kabhi per par lagti ,
Toh saaf karne ki mazoori thi,
Ghar ke aangan mein khade - khade,
Biti umr Puri thi.
Din se raat , raat se din,
Isi aangan mein guzar gye,
Puraane "HUM" se taaluk nhi,
Aangan mein "HUM" purane kho gye,
Baddon ka dulaar , chotton ka pyar,
Aangan mein hi reh gya,
Duniya bhar ka saara dard,
Aangan ne hi seh liya.