Aaj chaand dekha mene naa jaane kyu adha sa tha
Roz ke mukaable na jaane khaamosh kuch zada sa tha
Taaron ki mehfilon mein baithne waala wo chaand aaj uska akele nikalne ka kuch iraada sa tha
Mayus hone ki wajah uske ,ek chota sa tara tha
Aasmaan ka sartaaj mohabbat mein dil haara tha
Naraaz tha kyuki kuch din se gayab uska tara tha
Agle din uska tara phir aasmaan mein jagmagaane laga
Chaand uske aur kareeb aane laga
Raat guzar gayi sawera aagya
Unke bichdne ka waqt kareeb aa gyaa
Kaafi baatein phir ankahi reh gyi
Upar ki wo kahani agli raat phir chali
Chaand ne aakhir kaar apne jazbaat bayan kiye
Dil mein toh kuch us taare ke bhi tha is liye usne jawaab muskura kar diye
Mohabbat dono ne ek dusre ki qabool ki
Usi waqt se chaand taare ki kahaani mashoor huyi.
. . .